Sikandar Ali Wajd

zulmat-e-shab hi sahar ho jaegi

Sikandar Ali Wajd

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1914-1983
zulmat-e-shab hī sahar ho jā.egī
shiddat-e-ġham chārāgar ho jā.egī
rone vaale yuuñ musībat par na ro
zindagī ik dard-e-sar ho jā.egī
bād-e-tāmīr-e-makāñ zanjīr-e-ġham
ulfat-e-dīvār-o-dar ho jā.egī
lā dalīl-e-ishq-o-mastī darmiyāñ
ḳhatm bahs-e-ḳhair-o-shar ho jā.egī
zikr apnā jā-ba-jā achchhā nahīñ
sab kahānī be-asar ho jā.egī
sub.h-e-rāhat ke tasavvur ke tufail
har shab-e-ġham muḳhtasar ho jā.egī
sirf-o-azm-e-ātshīñ darkār hai
umr sargarm-e-safar ho jā.egī
aa rahā hai inqilāb-e-hashr-ḳhez
zindagī zer-o-zabar ho jā.egī
Top Urdushayar.com