Sikandar Ali Wajd

hazar naqs hain mujh mein mere kamal ko dekh

Sikandar Ali Wajd

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1914-1983
hazār naqs haiñ mujh meñ mire kamāl ko dekh
mujhe na dekh dil-āvezi-e-ḳhayāl ko dekh
gadā-e-husn tirā ḳhugar-e-savāl nahīñ
nigāh-e-shauq meñ rānā.i-e-savāl ko dekh
nasīm-e-sub.h kī aTkheliyoñ se barham hai
chaman meñ phuul ke chehre pe ishti.āl ko dekh
ġhubār-e-rind hai yā ḳhāk-e-sāqi-e-mahvash
adab se chuum ke har sāġhar-e-sifāl ko dekh
ḳhayāl-e-aish meñ bhī kaif-e-ārzū na rahā
Hayāt-sozi-e-zahrāb-e-infi.āl ko dekh
hujūm-e-jalva-bad-amāñ adā-e-ḳhud-bīnī
nigāh-e-sabr se ārā.ish-e-jamāl ko dekh
tamīz-e-ḳhvāb-o-haqīqat hai shart-e-bedārī
ḳhayāl-e-azmat-e-māzī ko chhoḌ haal ko dekh
rahegī 'vajd' tirī kā.enāt-e-dil barham
kahā thā kis ne ki us husn-e-be-misāl ko dekh
Top Urdushayar.com