Sikandar Ali Wajd

nazar nichi hai yar-e-KHush-nazar ki

Sikandar Ali Wajd

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1914-1983
nazar nīchī hai yār-e-ḳhush-nazar kī
karāmat hai ye merī chashm-e-tar kī
mubārak tujh ko ai sarv-e-ḳhirāmāñ
javānī dhuup jaise dopahar kī
usī ko lutf aayā zindagī kā
junūñ meñ zindagī jis ne basar kī
yahāñ parvāz ke ādāb sīkho
asīrī tarbiyat hai bāl-o-par kī
safar kaTtā hai akasr be-ḳhudī meñ
adā.eñ yaad haiñ ik ham-safar kī
ḳhushā ai soz-e-ġham terī badaulat
duāoñ par ināyat hai asar kī
vo ḳhush haiñ 'vajd' arz-e-hāl kar le
yahāñ fursat nahīñ arz-e-hunar kī
Top Urdushayar.com