bayābānoñ pe zindānoñ pe vīrānoñ pe kyā guzrī
jahān-e-hosh meñ aa.e to dīvānoñ pe kyā guzrī
dikhā.ūñ tujh ko manzar kyā guloñ kī pā.emālī kā
chaman se pūchh le nau-ḳhez armānoñ pe kyā guzrī
bahār aa.e to ḳhud hī laala o nargis batā deñge
ḳhizāñ ke daur meñ dilkash gulistānoñ pe kyā guzrī
nishān-e-shama-e-mahfil hai na ḳhāk-e-ahl-e-mahfil hai
sahar ab pūchhtī hai raat parvānoñ pe kyā guzrī
hamārā hī safīna tere tūfānoñ kā baa.is thā
hamāre Dūbne ke baad tūfānoñ pe kyā guzrī
maiñ aksar sochtā huuñ 'vajd' un kī mehrbānī se
ye kuchh guzrī hai apnoñ par to begānoñ pe kyā guzrī