Sikandar Ali Wajd

jab wo masrur nazar aata hai

Sikandar Ali Wajd

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1914-1983
jab vo masrūr nazar aatā hai
har taraf nuur nazar aatā hai
maiñ to mai-ḳhvār huuñ tū kyuuñ saaqī
nashshe meñ chuur nazar aatā hai
qurb se haath uThāyā maiñ ne
tū baḌī duur nazar aatā hai
maiñ hī tanhā nahīñ dil ke hāthoñ
tū bhī majbūr nazar aatā hai
ḳhāksārī ko chhupāne ke liye
'vajd' maġhrūr nazar aatā hai
Top Urdushayar.com