tum se milnā bhī nahīñ tum se bichhaḌnā bhī nahīñ
vaqt ke jaise magar ham ko badalnā bhī nahīñ
ishq ne phir hameñ ik baar hai baḳhshā sahrā
dariyā milnā bhī nahīñ abr barasnā bhī nahīñ
baḌī mushkil se chhupāte haiñ zamāne se tumheñ
zaḳhm risnā bhī hai aur aañkh ko galnā bhī nahīñ
vo kahīñ duur bahut duur gayā hai mujh se
us ko aanā bhī nahīñ ham ko machalnā bhī nahīñ
sar meñ baiThī hai anā siine meñ chubhtī bāteñ
gale milte haiñ magar dil kabhī milnā bhī nahīñ
ḳhvāb pairoñ tale shānoñ pe hai zimme-dārī
ham ko uḌnā bhī hai pañkhoñ ko nikalnā bhī nahīñ
zabt ke jism meñ rahne do mirī zaat ko tum
maiñ jo bigḌā to maiñ duniyā se sambhalnā bhī nahīñ