Dakhlan Bhopali

ghazal kahen to wahi dastan niklegi

Dakhlan Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1973
ġhazal kaheñ to vahī dāstān niklegī
har ek sher meñ āh-o-fuġhāñ niklegī
safar kī mushkileñ rone kā fā.eda kyā hai
ki jaate jaate hī merī thakān niklegī
jabīñ ke nīche do kashtī meñ bāñdh lī hai nadī
zarūr legī ye ik din ufaan niklegī
ye saare tanz ye ta.ane ye rishte naate sab
kahāñ chhupeñge jo merī zabān niklegī
vo jis ne ḳhud pe rivāyat kā rakh liyā hai qafas
vo ek laḌkī merā āsmān niklegī
maiñ chand lamhe agar ziist se haTā duuñ to
ye merī zindagī bas ḳhāk-dān niklegī
ye zabt sabr tabassum hue haiñ chaak sabhī
maiñ saḳht jaan huuñ lekin ye jaan niklegī
Top Urdushayar.com