Dakhlan Bhopali

abhi abhi hua hum tirgi se nikle hain

Dakhlan Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1973
abhī abhī huā ham tīrgī se nikle haiñ
jahān-e-ishq kī andhī galī se nikle haiñ
kisī se kahte to ilzām apne sar aatā
ye hādisa thā so ham ḳhāmushī se nikle haiñ
hameñ yaqīn nahīñ hai kisī dikhāve meñ
so samt-e-hijr meñ ham sādgī se nikle haiñ
nahīñ hai qaid kisī dā.ere meñ apnī zaat
jahāñ bhī nikle haiñ āvārgī se nikle haiñ
hamārī aañkh meñ tinkā paḌā hai āñdhī se
kaho na ashk ye bechārgī se nikle haiñ
hameñ banā.e jo shā.ir nahīñ banā vo ġham
hamāre sher to nārāzgī se nikle haiñ
nazīr ban chuke haiñ rāh-e-ishq kī 'daḳhlan'
ye koī piir haiñ dīvāngī se nikle haiñ
Top Urdushayar.com