hamārī ruuh ko chhūkar guzar gayā hai abhī
vo ek lamha na jaane kidhar gayā hai abhī
ki daur-e-ishq meñ us kā bhī ek jism to thā
mujhe hai shak vo fazā meñ bikhar gayā hai abhī
ḳhazāne DhūñDhtā hai vo agar to le jaa.e
hamārī aañkh se zaa.e.a guhar gayā hai abhī
jabīñ pe lahreñ thiiñ bhītar badan meñ tūfāñ thā
ḳhudā kā shukr hai dariyā utar gayā hai abhī
tamām umr diye maiñ ne vaqt ko ta.ane
abhī sukūn hai thoḌā sudhar gayā hai abhī