Nirmal Nadeem

badan ki mauj mein angDaiyan ulajh jaen

Nirmal Nadeem

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1986
badan kī mauj meñ añgḌā.iyāñ ulajh jaa.eñ
tilism aisā ki bīnā.iyāñ ulajh jaa.eñ
jo tere paañv kī bikhrī ho ḳhaak rāhoñ meñ
vahāñ se guzreñ to parchhā.iyāñ ulajh jaa.eñ
khulī ho zulf to sar par dupaTTā rakh lenā
na aisā ho kahīñ purvā.iyāñ ulajh jaa.eñ
zabān-e-ishq jo kholeñ kahīñ pe sannāTe
baḌe baḌoñ kī bhī dānā.iyāñ ulajh jaa.eñ
nigāh duur hī rakkho hamāre zaḳhmoñ se
jo in ko dekheñ to gahrā.iyāñ ulajh jaa.eñ
majāz Thiik hai dil ke taḌapte rahne kā
hamārī mauj meñ tanhā.iyāñ ulajh jaa.eñ
ilaaj ishq kā karne jo aa.e chāragar
maraz meñ saarī masīhā.iyāñ ulajh jaa.eñ
uruuj saare badal jaate haiñ zavāloñ meñ
agarche paañv se rusvā.iyāñ ulajh jaa.eñ
suneñ ye dil se mire dard kī azaan agar
'nadīm' aap kī shahnā.iyāñ ulajh jaa.eñ
Top Urdushayar.com