Nirmal Nadeem

ishq ko KHun-e-jigar ki hai talab kahte hain

Nirmal Nadeem

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1986
ishq ko ḳhūn-e-jigar kī hai talab kahte haiñ
zaḳhm khāne ko vafāoñ kā adab kahte haiñ
husn kī dhuup meñ nikhrā huā phūloñ sā badan
dil ke luT jaane kā is ko hī sabab kahte haiñ
ḳhaak maltā hai falak aa ke mire qadmoñ kī
ḳhāksārī ko bulandī kā laqab kahte haiñ
vo bhī lahrā ke har ik dard sunā kartī hai
qaid kā vāqi.a zanjīr se jab kahte haiñ
tum ye maano ki na maano hai tumhārī marzī
ishq ko daan sahī jiine ko Dhab kahte haiñ
dil meñ tūfāñ jo chhupā.e ho chhupā.e rakkho
saarā afsāna larazte hue lab kahte haiñ
tum divāne ho ye sach hai ise taslīm karo
ham nahīñ kahte faqat shahr meñ sab kahte haiñ
in ko dekhūñ to inheñ merī nazar lag jaa.e
aisā hotā hai kahīñ aap ġhazab kahte haiñ
dil jo rotā hai use gaate hue nikle 'nadīm'
log is dard-e-mohabbat ko adab kahte haiñ
Top Urdushayar.com