ghaTā.eñ raqs kartī haiñ ye mausam raqs karte haiñ
vo zulfoñ ko jab apnī kar ke pur-nam raqs karte haiñ
baḌī mastī baḌī gahrā.ī hai un shoḳh āñkhoñ meñ
unhīñ meñ mast ho kar donoñ aalam raqs karte haiñ
havā.eñ aane lagtī haiñ kabhī jab un ke dāman kī
diye bhī kar ke apnī lau ko maddham raqs karte haiñ
tumhāre hijr kī rātoñ meñ jab tanhā.ī Dastī hai
bajā kar apnī ham sāñsoñ kī sargam raqs karte haiñ
bahāroñ jhūmne lagtī haiñ un kā naam sunte hī
sajā lete haiñ gul hoñToñ pe shabnam raqs karte haiñ
miyāñ ham to qalandar haiñ hamārā haal mat pūchho
hamāre siine meñ kitne hī sañgam raqs karte haiñ
kabhī jab mil ke aate haiñ kahīñ tanhā.ī meñ un se
darīche band kar lete haiñ aur ham raqs karte haiñ
hazāroñ bijliyāñ sadqe meñ un ke TuuT jaatī haiñ
pahan ke nuur kī paa.el jo hamdam raqs karte haiñ
'nadīm' apnī adā aisī hai jis ke sāmne aa kar
ḳhushī mad.hosh ho jaatī hai aur ġham raqs karte haiñ