Nirmal Nadeem

bazm-e-KHuban se uThe dar-o-rasan tak pahunche

Nirmal Nadeem

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1986
bazm-e-ḳhūbāñ se uThe dār-o-rasan tak pahuñche
aap hī aap mire paañv gagan tak pahuñche
ek maiñ hī thā jo sayyād kī jholī meñ girā
uḌ ga.e saare parinde jo chaman tak pahuñche
sirf dil hī ko jalānā to koī baat nahīñ
ishq ik aag agar hai to badan tak pahuñche
bandishoñ hī kī numā.ish hai hayāt-e-ādam
ek dhāge se bañdhe aur kafan tak pahuñche
umr kamtar hī se koshish thī musalsal jaarī
sher apnā bhī koī tarz-e-suḳhan tak pahuñche
āḳhirī ek ye ḳhvāhish hai mire siine meñ
ḳhaak jab merī uḌe apne vatan tak pahuñche
sharm kā phuul maiñ āñkhoñ se terī chun lūñgā
is se pahle ki jhaḌe aur dahan tak pahuñche
āsmānoñ ko dabā legā vo pairoñ ke tale
shauq insān kā gar us kī lagan tak pahuñche
kyā zarūrat ki kareñ chal ke tavāf-e-duniyā
fikr apnī ye agar gañg-o-jaman tak pahuñche
soch lenā thā tujhe itnā ki kyā hogā 'nadīm'
aaj kā sher agar tere sajan tak pahuñche
Top Urdushayar.com