Nirmal Nadeem

nibhaya ishq ne rishta jo pyas pani ka

Nirmal Nadeem

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1986
nibhāyā ishq ne rishta jo pyaas paanī kā
uḌā ke le gayā hosh-o-havās paanī kā
kaTe shajar ke sisakte hue se pattoñ par
dikhā.ī detā hai chehra udaas paanī kā
sharīf logoñ kī āñkhoñ meñ aag rakh degī
pahan ke niklegī jab vo libās paanī kā
vo aise dekhtā rahtā hai merī āñkhoñ meñ
lagāne baiThā huuñ jaise qayās paanī kā
kināre ho ke khaḌe shor sun rahe ho kyā
utar ke dekho tahoñ meñ hirās paanī kā
tumheñ sañvarne kī sajne kī kyā zarūrat hai
chamaktā rahtā hai ruḳh par ujaas paanī kā
lipaT ga.e haiñ mire paañv se sabhī aflāk
jo mere haath meñ aayā gilās paanī kā
isī liye to mirā sar buland rahtā hai
hamesha azm rahā mere paas paanī kā
'nadīm' ghuum ke saare jahāñ meñ dekh liyā
koī bachā hī nahīñ ab shanās paanī kā
Top Urdushayar.com