tumhārī yaad jab dil se mire lipTī ġhazal kah dī
taḌap kar jab kabhī āh-o-fuġhāñ uTThī ġhazal kah dī
shab-e-tanhā.ī kā detī hai jis ko naam ye duniyā
mire siine pe jab aa kar kabhī baiThī ġhazal kah dī
kahā jab giit to phir giit sā mazmūn le aayā
kahīñ jab bhī ġhazal maiñ ne ġhazal jaisī ġhazal kah dī
bikhar kar chāñdnī jab sahn meñ hañsne lagī mujh par
ġhamoñ par ḳhaak Daalī aur maiñ ne bhī ġhazal kah dī
kabhī jab Dagmagā.ī zindagī kī naav tūfāñ meñ
adā-e-mauj par maiñ ne mohabbat kī ġhazal kah dī
ka.ī aañsū mirī palkoñ se TuuTe be-zabānī meñ
magar maiñ ne kabhī jab bhī zabāñ kholī ġhazal kah dī
hazāroñ rañg duniyā ke sameTe sher meñ apne
kabhī jab gulshan-e-dil se uḌī titlī ġhazal kah dī
mujhe bhī be-nishāñ ho kar hī is duniyā se uThnā hai
magar merī anā ne aaj phir koī ġhazal kah dī
bahut ḳhāmosh thā dushman magar bolā to ye bolā
are kyā baat hai nirmal-'nadīm' achchhī ġhazal kah dī