Nirmal Nadeem

ukta ke ku-e-yar se ushshaq chal paDe

Nirmal Nadeem

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1986
uktā ke kū-e-yār se ushshāq chal paḌe
kār-e-vafā ke dekhiye mushtāq chal paḌe
maiñ uTh gayā to dard kī mahfil ujaḌ ga.ī
mere hī saath ishq ke mashshāq chal paḌe
naqsh-e-qadam paḌe haiñ ye qudrat ke jā-ba-jā
duniyā-e-dil se uTh ke bad-aḳhlāq chal paḌe
barg-e-hinā se likh ke nasīhat zamīn par
gulshan ko tere chhoḌ ke aurāq chal paḌe
rishtoñ ke ehtirām kī jin ko na thī tamīz
dāman meñ apne bāñdh ke āfāq chal paḌe
terī nigāh-e-nāz ne aisā fusūñ paḌhā
dīvāne ho ke duniyā se ashfāq chal paḌe
maiñ ne charāġh-e-ishq jalā.e the jo 'nadīm'
hamrāh mere chhoḌ ke sab taaq chal paḌe
Top Urdushayar.com