galī meñ husn kī jo naqsh-e-pā chamaktā hai
hamāre ishq hī kā martaba chamaktā hai
isī liye to mujhe niiñd hī nahīñ aatī
tamām raat koī ḳhat khulā chamaktā hai
hazāroñ shaah jo jhukte haiñ sāmne us ke
kisī faqīr kī jholī meñ kyā chamaktā hai
ka.ī dinoñ se ye aalam hai dard kā dil meñ
kisī mazār pe jaise diyā chamaktā hai
maiñ aañkh muuñd ke hī us ko yaad kartā huuñ
mujhe pata hai ki merā ḳhudā chamaktā hai
kabhī jo ḳhvāb meñ aatī hai us kī parchhā.ī
hamārī aañkh meñ ik aa.ina chamaktā hai
usī kā qāfila paatā hai manziloñ kā pata
ġhubār-e-rāh meñ jo rahnumā chamaktā hai
tamām sadiyoñ ne sīñchā hai apne ashkoñ se
usī ke nuur se dāman mirā chamaktā hai
kashish ye kaisī hai lafzoñ meñ kis kā jalva hai
'nadīm' aap kī ġhazloñ meñ kyā chamaktā hai