ishq kī raah meñ jo dār-o-rasan hai kyuuñ hai
sar kaTāne kī har ik dil meñ lagan hai kyuuñ hai
jis kī ḳhushbū se mo.attar haiñ vafā kī rāheñ
mere siine meñ vo zaḳhmoñ kā chaman hai kyuuñ hai
jis meñ likkhī hai tavārīḳh ka.ī sadiyoñ kī
vaqt ke sar pe paḌī aisī shikan hai kyuuñ hai
kyā use ishq se mahrūm rakhā qudrat ne
shams ke siine meñ jo itnī jalan hai kyuuñ hai
mujh pe bandish ye ki us par maiñ ġhazal bhī na kahūñ
gul-badan hai vo agar ġhuncha-dahan hai kyuuñ hai
mujh se pūchho na sabab maiñ na batā pā.ūñgā
us se milne kā agar merā ye man hai kyuuñ hai
us ko ma.alūm haiñ duniyā kī misāleñ lekin
ishq ke sahrā meñ jo dil kā hiran hai kyuuñ hai
kitnā maġhrūr thā vus.at pe jo apnī lekin
mere ik naqsh-e-qadam par vo gagan hai kyuuñ hai
jis ke paḌne se 'nadīm' apnā badan khil jaa.e
ishq kī lau meñ bhalā aisī kiran hai kyuuñ hai