vafā kī raah meñ dushvāriyāñ bahut sī haiñ
magar junūñ kī bhī tayyāriyāñ bahut sī haiñ
jalāl apnī mohabbat kā sab se ūñchā hai
badan meñ aise to bīmāriyāñ bahut sī haiñ
hamāre paas faqat dil kā dard hai lekin
tumhāre paas to ayyāriyāñ bahut sī haiñ
har ek shaḳhs kī fikreñ judā judā Thahrīñ
jahān-e-ām meñ ḳhuddāriyāñ bahut sī haiñ
vafā kī saarī misāleñ ginā to duuñ lekin
vatan meñ apne bhī ġhaddāriyāñ bahut sī haiñ
diloñ meñ palte hue ḳhvāb jānte hī nahīñ
tabāh karne ko be-kāriyāñ bahut sī haiñ
kisī ne mujh se kahā thā ki yaar sun to sahī
adā meñ husn kī makkāriyāñ bahut sī haiñ
sajī hai bazm-e-mohabbat ye jaan kis ke liye
yahāñ to logoñ meñ bezāriyāñ bahut sī haiñ
'nadīm' kyuuñ tū tah-e-iztirāb Duub gayā
diloñ ke khel meñ bhī pāriyāñ bahut sī haiñ