kyā huā kyuuñ huā kis liye kyā ḳhabar jo huā so huā tū use bhuul jā
jaag kar raat bhar ho ga.ī hai sahar ab na ḳhud ko jalā tū use bhuul jā
kaun aayā yahāñ chal paḌīñ āñdhiyāñ kaun vīrān kar ke gayā gulsitāñ
kis ne rakh diiñ lab-e-gul pe chiñgāriyāñ ye kise hai pata tū use bhuul jā
raat kī baat thī phir sahar ho ga.ī vaqt chaltā rahā dopahar ho ga.ī
shaam aane ko hai raat chhāne ko hai bikhre sapne uThā tū use bhuul jā
ham-navā ham-safar mo'atabar rāhbar phir mileñge tujhe tū shurūa kar safar
kho gayā jo guhar aa.egā lauT kar apnī hastī banā tū use bhuul jā
sochnā hai tirā vo na tum ko milā sach to ye hai magar tū na us ko milā
us kī qismat meñ shāyad thī tishna-labī ho gayā jo ḳhafā tū use bhuul jā
ye tirā ḳhvāb hai kitnā nāyāb hai tere ruḳh par usī kī chaḌhī taab hai
ek ḳhurshed hai ek mahtāb hai maan merā kahā tū use bhuul jā
dil meñ jo dard hai raah kī gard hai jhaaḌ de jo use vo baḌā mard hai
dekh le zindagī garm hai sard hai chhoḌ shikva-gila tū use bhuul jā
ghar se bāhar nikal karvaTeñ mat badal chal mire saath chal āñsuoñ meñ na Dhal
dekh le shāḳh par ek bhīgā kañval muskurāne lagā tū use bhuul jā