ye kis kā jalva-e-hairat-fazā nigāh meñ hai
ki pā-e-shauq guzargāh-e-mehr-o-māh meñ hai
hazār manzil-e-rāh-e-junūñ tamām huī
hazār manzil-e-ahl-e-junūñ nigāh meñ hai
bulandiyoñ se guzar kar ḳhirad kā haal na pūchh
bas ik ġhubār-e-tahayyur liye nigāh meñ hai
azīz-tar tirī bāteñ ki is sukūt ke saath
tamām shoḳhī-e-lafz-o-bayāñ nigāh meñ hai
faroġh-e-jalva-e-ummīd terī umr darāz
siyāh raat hai sar par sahar nigāh meñ hai
kis ehtimām se hai āmad-e-urūs-e-sahar
ki āhaToñ kā tarannum tamām raah meñ hai
kahāñ hai tāb-e-nazar ahl-e-dil kī mahfil meñ
kise majāl-e-suḳhan un kī bārgāh meñ hai