kitnī mushkil se ġham-e-dost bayāñ hotā hai
ashk thamtā hai na āñkhoñ se ravāñ hotā hai
mutrib-e-vaqt kā āhañg badal detā huuñ
jab tire āriz-o-gesū kā bayāñ hotā hai
rañg-o-bū ban ke jo uḌtā hai shabistānoñ meñ
vo bhī hasrat ke charāġhoñ kā dhuāñ hotā hai
zindagī jabr ke dāman meñ janam letī hai
aadmī daar ke saa.e meñ javāñ hotā hai
Thahar jaatā huuñ tah-e-zulf-e-nigār-e-fardā
bār-e-imroz jo shānoñ pe garāñ hotā hai
zindagī kyā hai bas ik ḳhāna-e-mātam 'jāved'
dil dhaḌaktā hai to ehsās-e-fuġhāñ hotā hai