Gyan Chand Jain

hua kare jo andhera bahut ghanera hai

Gyan Chand Jain

Seohara, Uttar pradesh, India

1923-2007
huā kare jo añdherā bahut ghanerā hai
kisī kī zulf tale har samay saverā hai
hikāyat-e-lab-o-ruḳhsār meñ guzār deñ vaqt
jahāñ meñ sirf ghaḌī do ghaḌī baserā hai
jalāo ghar kī muñDeroñ pe chashm-o-dil ke diye
bahāo giit birah ke bahut añdherā hai
vo mohtasib ho ki shahna ki muftī-o-qāzī
hamārā koī nahīñ hai har ek terā hai
mire dimāġh ke ḳhannās ne pasand kiyā
khañDar ke haft-balāoñ kā jis meñ Derā hai
maiñ barg-e-zard huuñ shāyān-e-iltifāt nahīñ
hasīn gul ko hasīñ titliyoñ ne gherā hai
Top Urdushayar.com