kisī tez jhoñke ke sañg thī mirī oḌhnī
kabhī sar pe thī kabhī uḌ ga.ī mirī oḌhnī
vo jo zaḳhm-ḳhurda sī vahshateñ thī nigāh meñ
unheñ apne pallū se joḌtī mirī oḌhnī
koī sā.ebāñ jo duā sā thā mirī raah meñ
vo nahīñ rahā to kahāñ rahī mirī oḌhnī
vo sambhal sambhal ke uThā rahī hai har ik qadam
mirī lāDlī ne jo oḌh lī mirī oḌhnī
jo mire nasīb ke ḳhvāb the vo sarāb the
unhī mausamoñ meñ rachī-basī mirī oḌhnī
na kasak rahī na chasak rahī na hī hairateñ
vo badal gayā to badal ga.ī mirī oḌhnī