us kī ḳhātir ronā hañsnā achchhā lagtā hai
jaise dhuup meñ bārish honā achchhā lagtā hai
ḳhvāb kī kachchī malmal meñ jab āñkheñ lipTī hoñ
yādeñ oḌh ke sote rahnā achchhā lagtā hai
sāñjh savere khulte haiñ jab tītriyoñ ke par
us manzar meñ manzar honā achchhā lagtā hai
bārish aa kar baras rahegī mausam aane par
phir bhī apnā dard chhupānā achchhā lagtā hai
bādal ḳhushbū aur jogī se āḳhir kaun kahe
mujhe tumhārā ānā-jānā achchhā lagtā hai