thakan se chuur haiñ aur gard se aTe haiñ ham
nazar uThā ki tirī samt dekhte haiñ ham
vahī charāġh vahī maiñ vahī fusūñ terā
har ek baar yūñhī tujh ko chāhte haiñ ham
tire ḳhayāl kī ḳhushbū udaas kartī hai
tire sarāb kī vaadī meñ gūñjte haiñ ham
ye aur baat tire saath din guzartā hai
ye aur baat tirī niiñd meñ rahe haiñ ham
kabhī kabhī to yuuñ raste meñ shaam hotī hai
ki hausloñ kī tarah ḳhud meñ TūTte haiñ ham