ajiib rut hai ye hijr-o-visāl se aage
kamāl hone lagā hai kamāl se aage
vo ek lamha jo titlī sā apne beach meñ hai
use maiñ le ke chalī māh-o-sāl se aage
koī javāz ho hamdam ab is rifāqat kā
talāsh kar mujhe mere jamāl se aage
javāb-e-ḳhvāb bhalā ḳhvāb ke sivā kyā hai
magar vo niklā nahīñ hai savāl se aage
pighal rahā hai mirā din siyāh rātoñ meñ
kahānī ghuum rahī hai zavāl se aage
ruke hue haiñ kināre pe vo talātum hai
ye shahr-e-ishq hai aur hai majāl se aage
mashām-e-jāñ meñ koī diip sā jalā.e hue
nikal chalī huuñ maiñ rañj-o-malāl se aage