chhupā.e dil meñ ham akasr tirī talab bhī chale
kabhī kabhī tire hamrāh be-sabab bhī chale
numūd-e-gul ke karishme sadā jilau meñ rahe
nasīm ban ke chale ham chaman meñ jab bhī chale
jalāo ḳhūn-e-shahīdāñ se irtiqā ke charāġh
ye rasm chaltī rahī hai ye rasm ab bhī chale
sunā hai jāda-navardān-e-sub.h ke hamrāh
ba-faiz-e-vaqt ka.ī rah-ravān-e-shab bhī chale
hai shor-e-shabnam-e-āsūdgī ke dosh-ba-dosh
gul aaj le ke kahīñ shola-e-ġhazab bhī chale
kisī kā hukm-e-zabāñ-bandī-e-junūñ bhī chalā
kisī ke qisse suḳhan ban ke zer-e-lab bhī chale
hamīñ ne sāġhar-e-ġham muntaḳhab kiyā 'ārif'
vagarna bazm meñ kuchh sāġhar-e-tarab bhī chale