Arif Abdul Mateen

har-chand mera gham gham-e-nadida raha hai

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
har-chand mirā ġham ġham-e-nādīda rahā hai
saaya sā magar ruuh pe larzīda rahā hai
chubhte hī rahe ḳhār-e-alam dast-e-talab meñ
rāhat vo gul-e-jāñ hai ki nā-chīda rahā hai
Duube haiñ yahāñ kitnī umañgoñ ke safīne
tūfān kā maskan dil-e-shorīda rahā hai
bāzīcha-e-firdaus se kyā bahlegā vo dil
me.arāj-e-tarab par bhī jo ranjīda rahā hai
ai manzil-e-nau-yāfta maiñ tere nishāñ tak
jis raste se pahuñchā huuñ vo pechīda rahā hai
tashvīsh ke in ramnoñ se guzrā huuñ akelā
ehsās jahāñ ḳhauf se ram-dīda rahā hai
kaaTe haiñ vo sahrā-e-tamannā tan-e-tanhā
'ārif' bhī jahāñ nazroñ se poshīda rahā hai
taskīn ke bahrūp meñ ab jaagā hai vo hashr
barsoñ mire pahlū meñ jo ḳhvābīda rahā hai
Top Urdushayar.com