Arif Abdul Mateen

main jis ko rah dikhaun wahi haTae mujhe

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
maiñ jis ko raah dikhā.ūñ vahī haTā.e mujhe
maiñ naqsh-e-pā huuñ koī ḳhaak se uThā.e mujhe
mahak uThegī fazā mere tan kī ḳhushbū se
maiñ uud huuñ kabhī aa kar koī jalā.e mujhe
charāġh huuñ to faqat taaq kyuuñ muqaddar ho
koī zamāne ke dariyā meñ bhī bahā.e mujhe
maiñ musht-e-ḳhāk huuñ sahrā mirī tamannā hai
havā-e-tez kisī taur se uḌaa.e mujhe
agar mirā hai to utre kabhī mire ghar meñ
vo chāñd ban ke na yuuñ duur se lubhā.e mujhe
vo ā.īne kī tarah mere sāmne aa.e
mujhe nahīñ to mirā aks hī dikhā.e mujhe
umañDtī yādoñ ke āshob se meñ vāqif huuñ
ḳhudā kare kisī sūrat vo bhuul jaa.e mujhe
vafā nigāh kī tālib hai imtihāñ kī nahīñ
vo merī ruuh meñ jhāñke na āzmā.e mujhe
Top Urdushayar.com