Arif Abdul Mateen

aarif azal se tera amal mominana tha

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
'ārif' azal se terā amal momināna thā
haañ ġham ye thā ki fikr kā Dhab kāfirāna thā
tū mujh se duur rah ke bhī mere qarīb thā
har chand tū ḳhudā kī tarah thā ḳhudā na thā
tanhā.ī-e-basīt kā vo ahd yaad kar
jab tere paas koī bhī tere sivā na thā
thā e'timād-e-husn se tū is qadar tahī
ā.īna dekhne kā tujhe hausla na thā
maiñ ne kiyā hai tujh ko tire rū-ba-rū magar
khīñch jā.egā mujhī se tū mujh ko patā na thā
baḳhshā hai tū ne merī vafā ko ḳhud apnā rañg
varna mirī nigāh meñ koī sila na thā
umr-e-azīz rā-navardī meñ kaT ga.ī
manzil ne dī ḳhabar ki musāfir chalā na thā
aa.ī hai gulsitāñ se mirī samt kis liye
jab naama mere naam koī ai sabā na thā
kunj-e-qafas meñ sar-ba-garebāñ paḌā huuñ maiñ
'ārif' chaman meñ koī mirā ham-navā na thā
Top Urdushayar.com