Arif Abdul Mateen

baja ki kashti hai para para thapeDe tufan ke kha raha hun

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
bajā ki kashtī hai paara paara thapeḌe tūfāñ ke khā rahā huuñ
magar ye e.azāz kam nahīñ hai ki aap hī apnā nāḳhudā huuñ
kabhī to maiñ ne dhunak diye haiñ pahāḌ bhī apne rāste ke
kabhī maiñ ḳhud apne rāste kī muhīb dīvāreñ ho gayā huuñ
mujhe hai shab-ḳhūñ kī fikr lekin unheñ halākat kā Dar nahīñ hai
mire qabīle ke log sote haiñ aur shab-bhar maiñ jāgtā huuñ
mirī haqīqat tazād kī is girah ke khulne pe munhasir hai
maiñ vaqt kā huuñ jalīl ḳhusrav maiñ ahd kā be-navā gadā huuñ
ye baat alag hai ki ġhuncha ġhuncha mire chalan se chaTak rahā hai
sabā kā jhoñkā huuñ gulistāñ se maiñ be-sadā sā guzar rahā huuñ
jahāñ kā sheva sitam thā lekin mujhe vafā se rahī hai nisbat
jahāñ ġhalat thā ki maiñ ġhalat thā ye baat rah rah ke sochtā huuñ
mirī jabīñ kā chamaktā sūraj mire jilau meñ sadā rahā hai
maiñ raat kī zulmatoñ ko 'ārif' azal se lalkārtā rahā huuñ
Top Urdushayar.com