Arif Abdul Mateen

chand mere ghar mein utra tha kahin Duba na tha

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
chāñd mere ghar meñ utrā thā kahīñ Duubā na thā
ai mire sūraj abhī aanā tirā achchhā na thā
maiñ ne sun lī thī tire qadmoñ kī aahaT duur se
tū na aa.egā kabhī dil meñ mire dhaḌkā na thā
maiñ ne dekhā thā sar-e-ā.īna ik paikar kā aks
hū-ba-hū ham-shakal thā merā magar mujh sā na thā
kyuuñ jhulas Daalā hai us ne mere ḳhadd-o-ḳhāl ko
vaqt ik dariyā thā lekin aag kā dariyā na thā
band paanī ke bhañvar meñ kho ga.ī kashtī mirī
aañkh jal-thal thī magar aañsū koī Tapkā na thā
maiñ na dāmān-e-charāġh-e-be-navā ban kar jalā
thī talab jhoñke kī mujh ko aur tū jhoñkā na thā
ghuum kar dekhā to thā jis raah par tanhā ravāñ
bhiiḌ itnī thī ki chalne ko vahāñ rastā na thā
maiñ ki vus.at kī tamannā meñ bagūlā ban gayā
ret ke zarre the dāman meñ mire sahrā na thā
kāhish-e-soz-o-ziyāñ ne raakh kar Daalā mujhe
maiñ ne samjhā thā ki ye sho.ala yahāñ jaltā na thā
mere sahrā kī tapish ko dekh kar hairāñ na thā
abr ghir kar bārhā aayā magar barsā na thā
apne bachchoñ kā tabassum dekh kar 'ārif' batā
ghar kī vīrānī kā tujh ko shikva-e-bejā na thā
Top Urdushayar.com