kitnī hasrat se tirī aañkh kā bādal barsā
ye alag baat mirā shola-e-ġham bujh na sakā
terā paikar hai vo ā.īna ki jis ke dam se
maiñ ne sau ruup meñ ḳhud apnā sarāpā dekhā
ek lamhe ke liye chāñd kī ḳhvāhish kī thī
umr bhar sar pe mire qahr kā sūraj chamkā
jab bhī ehsās-e-amāñ bā.is-e-taskīñ Thahrā
an-ginat ḳhatroñ kī aahaT se dil apnā dhaḌkā
maiñ aziyyat kī guphāoñ meñ karāhūñ kab tak
be-gunāhī kī sazā ke liye mī.ād hai kyā
tīra-o-tār ḳhalāoñ meñ bhaTaktā rahā zehan
raat sahrā-e-anā se maiñ hirāsāñ guzrā
sehr-e-goyā.ī ke kis dasht kā faizān hai ye
har suḳhan lab se tire sūrat-e-āhū niklā
maiñ ne jis shāḳh ko phūloñ se sajāyā 'ārif'
mere siine meñ usī shāḳh kā kāñTā utrā