Arif Abdul Mateen

wo karwan-e-bahaaran ki be-dara hoga

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001

vo kārvān-e-bahārāñ ki be-darā hogā

sukūt-e-ġhunche manzil pe ruk gayā hogā

bajā ki dil nahīñ zindān-e-be-ḳhudī asiir

magar ye qaid-e-anā se kahāñ rahā hogā

shuā-e-mahr nazzārgī ke shauq meñ chāñd

falak ke dīda-e-be-ḳhvāb meñ Dhalā hogā

kuchh aisī sahl nahīñ fan munfarid taḳhlīq

ḳhudā bhī merī tarah pahroñ sochtā hogā

maiñ tere zehan meñ rach bas gayā huuñ misl-e-ḳhayāl

jidhar bhī jā.egā merā sāmnā hogā

bahā ke le bhī gayā merī har matā-e-sukūñ

jo ashk abhī tire ruḳh par nahīñ bahā hogā

ye aarzū hai ki vo din na dekhnā ho nasīb

mire amal se mirā fikr jab ḳhafā hogā

khilā rahā hai jo harf-o-navā ke lāla-o-gul

vo merā nutq nahīñ mauja-e-sabā hogā

Top Urdushayar.com