Arif Abdul Mateen

main azal ka rah-rau mujhko abad ki justuju

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
maiñ azal kā rāh-rau mujh ko abad kī justujū
gard-e-rah mere jilau meñ saath mere maiñ na tū
zard thā chehra magar masrūr thā pahlū meñ dil
barg-e-gul jab le uḌā chupke se merā rañg-o-bū
mujh ko apne shahar kā har ek zarra hai aziiz
ai havā le jā uḌā kar ḳhaak merī kū-ba-kū
vaqt kā dariyā ki jis meñ maiñ kañval ban kar khulā
sochiye to bahr hai aur dekhiye to aabjū
maiñ musavvir huuñ magar tasvīr hai ḳhāliq mirī
rañg bhartī hai mire ḳhāke meñ merī aarzū
zaat kā ā.īna jab dekhā to hairānī huī
maiñ na thā goyā koī mujh sā thā mere rū-ba-rū
lazzat-e-ḳhud-āgahī kā faiz hai 'ārif' ki ham
pahroñ apne aap se rahte haiñ mahv-e-guftugū
Top Urdushayar.com