Arif Abdul Mateen

titliyan rangon ka mahshar hain kabhi socha na tha

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
titliyāñ rañgoñ kā mahshar haiñ kabhī sochā na thā
un ko chhūne par khulā vo raaz jo khultā na thaa!
tū vo ā.īna hai jis ko dekh kar raushan huā
maiñ ne apne-āp ko samjhā kahāñ dekhā na thaa!
chāñd ban kar tū mire āñgan meñ utrā hai zarūr
nuur itnā bām-o-dar par aaj tak bikhrā na thaa!
kaun se aalam meñ maiñ ne aaj dekhā hai tujhe
tū dhanak ban kar mire dil meñ kabhī utrā na thaa!
saḳht-jānī se mirā dil bach gayā varna yahāñ
kaun sā patthar thā is shīshe pe jo barsā na thaa!
is jahān-e-rañg-o-bū ko maiñ ne samjhā thā sarāb
ik haqīqat thā ye 'ārif' aañkh kā dhokā na thā
Top Urdushayar.com