Arif Abdul Mateen

ruh ke jalte KHarabe ka mudawa bhi nahin

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
ruuh ke jalte ḳharābe kā mudāvā bhī nahīñ
dard vo bādal hai jo khul kar barastā bhī nahīñ
shahr ke zindāñ ne pahnā diiñ vo zanjīreñ mujhe
merī vahshat ko mayassar dil kā sahrā bhī nahīñ
jis meñ bah jaa.e safīne kī tarah merā vajūd
merī āñkhoñ se ravāñ ġham kā vo dariyā bhī nahīñ
karb kā sūraj sivā neze pe hai Thahrā huā
dil mirā hai barf-zār aisā pighaltā bhī nahīñ
mujh ko yakjā.ī kī hasrat se bhalā kyā vāsta
maiñ to jī bhar kar sar-e-āfāq bikhrā bhī nahīñ
muddatoñ dar par mire vo dastakeñ detā rahā
maiñ magar vo niiñd kā maatā ki chauñkā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com