Arif Abdul Mateen

hum bhi nadan hain samajhte hain ki chhaT jaegi

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
ham bhī nādāñ haiñ samajhte haiñ ki chhaT jā.egī
tīrgī nuur ke paikar meñ simaT jā.egī
log kahte haiñ mohabbat se tamannā jis ko
merī shah-e-rag usī talvār se kaT jā.egī
tum jise baañT rahe ho vo sitam-dīda-zamīñ
zalzala aa.egā kuchh aisā ki phaT jā.egī
qaid huuñ gumbad-e-be-dar meñ mirī apnī sadā
mujh tak aa.egī magar aa ke palaT jā.egī
baañT jī bhar ke use dahr ke mahrūmoñ meñ
pyaar daulat to nahīñ hai ki jo ghaT jā.egī
bād-e-sarsar se na ghabrā ki ye chal kar 'ārif'
kitne chehroñ se naqāboñ ko ulaT jā.egī
Top Urdushayar.com