Dilshad Naseem

main apne KHwab mein kuchh KHak mein milati hun

Dilshad Naseem

maiñ apne ḳhvāb meñ kuchh ḳhaak meñ milātī huuñ
na jaane ḳhaak se aisā maiñ kyā uThātī huuñ
sitāre bhar ke maiñ dāman meñ jab bhī laatī huuñ
tumhārī raah meñ phir shauq se bichhātī huuñ
ki pyaas dekh rahe haiñ ye tishna-lab mere
maiñ ashk piitī huuñ aur tishnagī miTātī huuñ
zamāne bhar se vo mujh ko hasīn lagtā hai
zamāne bhar se yahī baat maiñ chhupātī huuñ
kabhī kabhī to mujhe yaad tak nahīñ rahtā
ki chāñd jaltā hai shab meñ yā dil jalātī huuñ
maiñ likh rahī huuñ mohabbat pe ek nazm magar
kabhī maiñ likhtī huuñ us ko kabhī miTātī huuñ
karo ye va.ada ki mujh se ḳhafā nahīñ honā
maiñ māntī huuñ ki maiñ baat ko baḌhātī huuñ
fasāne likhtī huuñ maiñ ġham-zada mohabbat ke
maiñ dard likhtī huuñ aur dard hī kamātī huuñ
Top Urdushayar.com