na jaane kaisī mohabbat ke va.ade raat jale
jalā jo ḳhat to sakhī mere donoñ haath jale
guzārā din jo udāsī meñ shaam kahne lagī
bahut akelī huuñ maiñ koī mere saath jale
palaT ke haal na pūchhā fareb-kāroñ ne
ye dil ke saath mire ek aur ghaat jale
gañvā ke baiThī huuñ maiñ aaj apnā sabr-o-qarār
ki saath chāñd ke merī tū saarī raat jale
maiñ us kahānī kā kirdār huuñ ki jis meñ sadā
vafā ko likhne se pahle hī merā haath jale
ḳhizāñ ke ba.ad bahāroñ kī raah dekhī to
ye haif sad ki mirī aarzū ke paat jale
hai pyaas aisī ki 'dilshād' aañsū tak haiñ piye
ki tere hijr meñ dil merā baat baat jale