zamāne ko ulfat kā dastūr kar duuñ
maiñ terī kahānī ko mash.hūr kar duuñ
tire sāmne ro luuñ jī chāhtā hai
tire dil ko bhī ġham se maiñ chuur kar duuñ
masīhā kā ehsāñ nahīñ chāhtī huuñ
maiñ zaḳhmoñ ko apne hī añgūr kar duuñ
mire ishq par koī tohmat na dharnā
agar tum kaho ḳhud ko mansūr kar duuñ
agar mil sake mujh ko ashkoñ ke badle
ġham-e-ishq se ḳhud ko ma.amūr kar duuñ
agar aañkh bhar ke vo dekhe mujhe to
maiñ dil us kī ḳhidmat pe māmūr kar duuñ
girā duuñ maiñ nafrat kī dīvāreñ saarī
mohabbat ko duniyā kā manshūr kar duuñ