jāgte rahnā hai ab ḳhvāb kī ta.abīr talak
dard sahnā hai ye tiryāk kī tāsīr talak
is meñ saaya koī ban jaa.e to aa jaanā tum
ham yahīñ baiTheñge dīvār kī ta.amīr talak
aap ke saath bas ik shaam bitāne ke liye
daav pe dil kī lagā Daalī hai jāgīr talak
āsmāñ par jo sitāroñ kī thī mahfil is meñ
ham ne dekhī thī numāyāñ tirī tasvīr talak
aaj 'dilshād' ne phir ek ġhazal likh Daalī
silsila jā.egā 'ġhālib' se kabhī 'mīr' talak