Syed Manzoor Haidar

kuchh is andaz se hain dasht mein aahu nikal aae

Syed Manzoor Haidar

1933-2001
kuchh is andāz se haiñ dasht meñ aahū nikal aa.e
ki un ko dekh kar phūloñ ke bhī aañsū nikal aa.e
falak ko kaun sī vaadī barahna-sar nazar aa.ī
garajte bādaloñ ke lashkarī har-sū nikal aa.e
abhī to ek hī dil kā darīcha vā kiyā maiñ ne
yahāñ bahr-e-ziyārat kis qadar jugnū nikal aa.e
jo sajde kī nahīñ to raqs karne kī ijāzat ho
kisī siine se jab bāhar tirī ḳhushbū nikal aa.e
isī ummīd par kaaTā safar tārīk rāhoñ kā
na jaane kaun se gumbad se vo mah-rū nikal aa.e
chaman-zār-e-vafā meñ mausamoñ kī apnī fitrat hai
burīda ek baazū se ka.ī baazū nikal aa.e
kabhī to ehtiyāt-e-zohd se haa.el hue parde
kabhī mastī meñ bhī tasbīh ke pahlū nikal aa.e
Top Urdushayar.com