Darshan Singh

tamam nur-e-tajalli tamam rang-e-chaman

Darshan Singh

1921-1989
tamām nūr-e-tajallī tamām rañg-e-chaman
ye terā chāñd sā chehra ye terā gul sā badan
na Dagmagā.e qadam garche rāh-e-ulfat meñ
kahīñ the dasht-o-bayābān kahīñ the dār-o-rasan
hazār aa.e zamāne meñ inqalāb magar
mizāj husn kā badlā na ishq hī kā chalan
sabāt-o-sabr zarūrī hai aadmī ke liye
shikan jabīñ pe na aa.e ba-vaqt-e-ranj-o-mehan
ye baat aur hai nāqid rahe zamāna magar
jahāñ se miT nahīñ sakte nuqūsh-e-tesha-fan
mirā dayār hai mehr-o-vafā kā gahvāra
adū-e-mehr-o-mohabbat kā hai magar madfan
haqīqatoñ se ba-har-hāl jo gurez kare
vo shā.irī hai na hikmat na vo hunar hai na fan
har ik ko jaan zamāne meñ apnī pyārī hai
azīz-tar hai magar ham ko jaan se bhī vatan
bahut hī shor thā rañgīnī-e-jahāñ kā magar
milā na ham ko yahāñ kuchh sivā-e-rañj-o-mehan
vo jān-e-husn-o-latāfat hī ban ke aayā hai
bahār ġhuncha-ba-ġhuncha sabā chaman-ba-chaman
hazār baar huā imtihān-e-ishq magar
na jaane husn hai kyuuñ mujh se bad-gumāñ 'darshan'
Top Urdushayar.com