jab aadmī mudd.ā-e-haq hai to kyā kaheñ mudda.ā kahāñ hai
ḳhudā hai ḳhud jis ke dil meñ pinhāñ vo DhūñDhtā hai ḳhudā kahāñ hai
ye bazm-e-yārān-e-ḳhud-numā hai na kar ḳhulūs-e-vafā kī bāteñ
sabhī to haiñ mudda.ī vafā ke yahāñ koī bevafā kahāñ hai
tamām partav haiñ aks-e-partav tamām jalve haiñ aks-e-jalva
kahāñ se lā.ūñ misāl-e-sūrat ki aap sā dūsrā kahāñ hai
nihāñ haiñ takmīl-e-ḳhud-shanāsī meñ jalva-hā-e-ḳhudā-shanāsī
jo apnī hastī se be-ḳhabar hai vo aap se āshnā kahāñ hai
paḌī hai sunsān dil kī vaadī akelā mahv-e-talāsh huuñ maiñ
ki ishq ke rāh-rau kidhar haiñ vafāoñ kā qāfila kahāñ hai
jinheñ vasā.el pe hai bharosā ye baat un ko batā de koī
bachā le kashtī ko jo bhañvar se ḳhudā hai vo nāḳhudā kahāñ hai
paḌā hī rahne do sar-ba-sajda na chhūTne do ye āstāna
ki 'darshan'-e-ḳhasta kā Thikānā tumhāre dar ke sivā kahāñ hai