raaz ye mujh pe āshkārā hai
ishq shabnam nahīñ sharārā hai
ik nigāh-e-karam phir us ke ba.ad
umr bhar kā sitam gavārā hai
raqs meñ haiñ jo sāġhar-o-mīnā
kis kī nazroñ kā ye ishārā hai
aisī manzil pe aa gayā huuñ jahāñ
tire ġham kā hī ik sahārā hai
lauT aa.e haiñ yaar ke dar se
vaqt ne jab hameñ pukārā hai
dil na TuuTe to zarra-e-nāchīz
kīmiyā hai jo paarā paarā hai
jām-e-rañgīñ meñ un kā aks-e-jamāl
yā shafaq meñ koī sitārā hai
naav TukḌe huī hai tūfāñ se
ab to murshid kā hī sahārā hai
ishq karnā hai maat khā jaanā
us meñ jiitā huā bhī haarā hai
apne darshan pe ik nigāh-e-karam
vo ġham-e-zindagī kā maarā hai