aaj dil se duā kare koī
haqq-e-ulfat adā kare koī
jis tarah dil mirā taḌaptā hai
yuuñ na taḌpe ḳhudā kare koī
jān-o-dil ham ne kar diye qurbāñ
vo na maane to kyā kare koī
dil-e-betāb kī tamannā hai
phir kahūñ maiñ sunā kare koī
mast nazroñ se ḳhud mirā saaqī
phir pilā.iye piyā kare koī
mai-e-irfāñ ke ham bhī haiñ mushtāq
dar-e-mai-ḳhāna vā kare koī
shauq-e-dīdār dil meñ hai 'darshan'
aa bhī jaa.e ḳhudā kare koī