guloñ pe ḳhāk-e-mehan ke sivā kuchh aur nahīñ
chaman meñ yād-e-chaman ke sivā kuchh aur nahīñ
kahāñ kī manzil-e-rañgīñ sahar to hone do
hamāre ḳhvāb thakan ke sivā kuchh aur nahīñ
ye shām-e-ġhurbat-e-dil hai yahāñ charāġh kahāñ
ḳhayāl-e-sub.h-e-vatan ke sivā kuchh aur nahīñ
nigāh-e-shauq-e-musalsal usī ko chheḌe jā
jabīñ pe jis kī shikan ke sivā kuchh aur nahīñ
dayār-e-ishq meñ tum kyuuñ khaḌe ho ahl-e-havas
yahāñ to dār-o-rasan ke sivā kuchh aur nahīñ
savād-e-shām-e-ḳhizāñ hai to ho hameñ kyā ġham
nazar meñ sub.h-e-chaman ke sivā kuchh aur nahīñ
kare talāsh junūñ zulmat-e-ḳhirad se kaho
junūñ kiran hai kiran ke sivā kuchh aur nahīñ
hamārī naġhma-sarā.ī ke vāste 'darshan'
havā-e-gañg-o-jaman ke sivā kuchh aur nahīñ