tujhe kyā ḳhabar mire ham-safar mirā marhala koī aur hai
mujhe manziloñ se gurez hai merā rāsta koī aur hai
merī chāhatoñ ko na pūchhiye jo milā talab se sivā milā
mirī dāstāñ hī ajiib hai mirā mas.ala koī aur hai
ye havas ke bande haiñ nāsehā na samajh sake mirā mudda.ā
mujhe pyaar hai kisī aur se mirā dil-rubā koī aur hai
mirā zauq-e-sajda hai zāhirī ki hai kashmakash mirī zindagī
ye gumān dil meñ rahā sadā mirā mudda.ā koī aur hai
vo rahīm hai vo karīm hai vo nahīñ ki zulm kare sadā
hai yaqīñ zamāne ko dekh kar ki yahāñ ḳhudā koī aur hai
maiñ chalā kahāñ se ḳhabar nahīñ ki safar meñ hai mirī zindagī
mirī ibtidā kahīñ aur hai mirī intihā koī aur hai
mirā naam 'darshan'-e-ḳhasta-tan mire dil meñ koī hai zau-fagan
maiñ huuñ gum kisī kī talāsh meñ mujhe DhūñDhtā koī aur hai